Namo Namo

Bholenath Shankara

Hey Triloknath Shambhu

Hey Shivay Shankara


Namo Namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Rudradev hey Maheshvarah


Srishti ke janam se bhi

(O o…)

Pehle tera vaas tha

(O o…)

Ye jag rahe ya naa rahe

(O o…)

Rahegi teri aastha

(O o…)


Kya samay… kya pralay

Dono mein teri mahaanta

Mahaanta… mahaanta…


Seepiyon ki ontt main

(Bholenath Shankara)

Motiyaan ho jis tarah

(Hey Shivay Shankara)

Mere mann mein Shankara

(Bholenath Shankara)

Tu basa hai uss tarah

(Hey Shivay Shankara)


Mujhe bharam tha jo hai mera

Tha nahin kabhi mera…


Arth kya nirarth kya

Jo bhi hai sabhi tera…


Tere saamne hai jhuka

Mere sar pe haath rakh tera


Namo Namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Hey Triloknath Shambhu

Hey Shivay Shankara


Namo namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Rudradev hey Maheshvara


Chandrama lalaat pe (O o…)

Bhasm hai bhujaaon mein (O o…)

Vastra baagh chhaal ka (O o…)

Hai khadau paanv mein (O o…)


Pyaas kya ho tujhe

Ganga hai teri jataaon mein

Jataaon mein… Jataaon mein…


Doosron ke waaste

(Bholenath Shankara)

Tu sadaiv hai jiya

(Hey Shivay Shankara)

Maanga kuch kabhi nahi

(Bholenath Shankara)

Tune sirf hai diya

(Hey Shivay Shankara)


Samudra manthan ka tha samay jo aa pada

Dwand dono lok me vish-amrit pe tha chhida

Amrit sabhi main baant ke

Pyala vish ka tune khud piya


Namo Namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Hey Triloknath Shambhu

Hey Shivay Shankara


Namo namo ji Shankara

Bholenath Shankara

Rudradev hey Maheshvara

Rudradev hey Maheshvara

Rudradev hey Maheshvara